Ajab tkazay hain chahaton k
Bari kathin ye musaftain hain,
Main jis ki rahon mein bichh gya hoon
Usi ko mujh se shikaytain hain,
Shikayatain sab bja hain lekin
Main ksay us ko yaqin dilaoun,
Jo mujh ko jan se azeez tr hai
Usay bhulaoon to mar na jaoun...
Main is khamoshi k imtehan mein
Kahan kahan se guzar gya hoon,
Usay to shayad khabar nhi hai
main dheeray dheeray bikhar gya hoon...
No comments:
Post a Comment