Seekha Hai Jab Se Main Nay Falsfa-e-zindagi..
Kaisay Kahon K Us Ka Rawayya Badal Gaya..
Jiss Ne Kaha Tha Saath Chalein Gay Tamam Umr..
Badla Hawa Nay Rukh To Waada Badal Gaya..
Un Ko Tha Ye Gumaan, Wo Dil Haar Jaein Gay..
Shayad Issi Liye Unka Iraada Badal Gaya..
Hairat Hai ''Faraz'' K Muddat Qaleel Mein..
Wo Shakhs Meri Soch Se Zyada Badal Gaya..!
No comments:
Post a Comment