Qissa abi hijab se aage nhi barha
Main app, wo janab sy aage nhi barha
Muddat hui kitab-e-muhabat shuru kiye
Lekin main pehly baab se aage nhi barha
Lambi musafatein hein mgr is swaar ka
Pa'on abi rakaab se age nhi barha
Tool-e-kalam k lye main ne kiye sawal
Wo mukhtasar jawab se age nhi barha
Rukhsar ka pata nhi ankhen to khub hein
Deedar abi naqab se aage nhi brha.
No comments:
Post a Comment