Sunday, 5 May 2013

Hum ne kati hain


Hum ne kati hain uski yad me ratain aksar

Dil se guzri hain sitarun ki baratain aksar

Hum se ak bar b na jeeta hai na jeetay ga koi

Wo to hum jan k kha letay hain maatain aksar

Un se pucho kabhi chehray b prhay hain tum ne

Jo kitabun ki kiya krtay hain batain aksar

Hum ne un teyz hawao'n me jalaye hain charagh

Jin hawao'n ne ulat di hain basatain aksar

Aur to koi nahi jo mujh ko tasalli deta

Hath rakh deti hain dil pe uski yadain aksar.

No comments:

Post a Comment