Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha
Dekha To Aik Dard Ka Darya qareeb Tha
Guzry Jidhr Jidhr Se Tamanna Ke Qaafilay
Hr Hr Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb Tha.
Kuch Aisi Meharban To Na Thi Hum Pe Zindagi,
Kyun Har Koi Jahan Mein Hamara Raqeeb Tha?
Kya Kya Lahoo Se Apne , Kiya Hum Ne SurKharoo,
Us Dour K Nagar Ko Jo Dil K Kareeb Tha.
Apna Pata Tou us ne Diya Tha Mujhay "WASI"
Main Khud Hi Kho Gaya To Yeh Mera Naseeb Tha.
No comments:
Post a Comment